Tuesday 18 October 2016

3 Pints of Beer



How could I find a way out if I'm afraid?
I know man, it's hard.
But do I have a choice?

Ab toh baatein bhi band hai,
Khuda ke darwaaze bhi band hai.

Darr laga rehta hai,
Fir bhi dil yeh kehta hai,
Kaise jaun?
Kya batau?
Zyaada taiyaar hoke, affection dikhau?
Ya aise hi jaa kar coincidence dikhau?
Photo? Nahi hai.
Portfolio? Nahi hai.
Photo dekh ke kya karega?
Shakal se pyaar bhi nahi hai,
Uski ruh se pyaar hai,
Bas uske mann ne ka intezaar hai.

Darr laga rehta hai,
Fir bhi dil yeh kehta hai,
Date kar rahi hai kya woh?
Kya milne jaati hai kisiko?
Haan, toh me jaun ki nahi?
Nahi, toh me jaun ki nahi?
At first glance? Nahi bhai.
Take a chance? Nahi bhai.
Ab toh hamara milna hi koi sanjog hai,
Uske college ke idher jaun? Nahi yaar bahot log hai.
Classes ke udher jaun? Nahi 10 minute baad uska curfew hour hai.
Ya usse uss restaurant me bulaun? Jo bridge ke uss paar hai?

Darr laga rehta hai,
 Fir bhi dil yeh kehta hai,
Dost se kehkar bula toh lunga usse,
Par backfire hua toh kaise manaunga usse?
Internship karti hai toh kya uske office jaun?
Ya fir chalte hue milun aur engine pe ilzaam lagau?
Ruk jaa bhai zara shaanti se bata mujhe.
Pheli baar kis college me dikhi thi woh tujhe?
Usko abhi phone lagaun aur sab bata dun?
Ya uske ghar jaake sab suna dun?
Himmat se jaunga, par himmat kidher se laun?
Kya 3 pint beer peeke jaun?

Darr laga rehta hai,
Par dil yeh kehta hai,
Yaar uss din dikhi thi,
College se aate hue,
Friend se saath thi,
Baat karte hue.
Fir, fir kya hua?
Kya kuch kuch hua?
Agar college late nahi jaata uss din me.
2 train chod ke nahi rukta doston ke binn me,
Agar nahi poochta woh bhala aadmi mujhse rasta unjaana
Toh nahi dikhta usse uss ka dewaana,

Darr laga rehta hai,
Fir bhi dil yeh kehta hai
Helmet ka flap usne jab uthaya,
Aur apni aakhon ko meri aankhon se milaya,
Kasam  khuda ki, uske chehre ka rang udd gaya,
Jab me usse dekh muskuraya, aur hawa ka ruk mudd gaya.
Naam kya hai uska?
Chehra kaisa hai uska?
Bhool gai woh khud woh kya bol rahi thi,
Waqt ruk gaya aur hamari alag duniya ban gai thi,
Tujhe dekhna hai, toh samajh jannat jaisi dikthi hai,
Kaash aisa ho ki woh aaj bhi mujhpe marti hai,

Darr laga rehta hai,
Par aaj bhi yeh dil kehta hai,
Ki aae zindagi mujhse daga na kar,
Me uss se durr rahun yeh dua na kar,
Baahon me sama lun, aur woh kabhi durr na jae,
Harr mod, harr gali hum ek duje ka saath paye,
Jaa yaar, mil le uss se ek baar,
Keh de karta hai tu uss se pyaar,
Jana toh me bhi chahta hun par yeh pair saath nahi dete,
Kabhi ek dukhta hai, toh kabhi dusra hatt jata hai peeche
Jana toh chahta hun par kaise jaun?
Kya me 3 pint beer peeke jaun?

P.S. I don't consume alcohol.

Do like and share
Support my movement #makeherlisten Here.
Find my other blogs Here
Follow me for more updates Here
Buy my Work The First Crush at 13 Here(International)and Here(India)
And connect with me on FacebookTwitter (@SunainBanga), Google+

1 comment: