Duniya se ladkar,
Duniya se bach kar,
Tujhse ek wada kiya tha mene,
Har pal marr kar
Har pal darr kar,
Tujhe apne pass rakha tha mene,
Darte darte inta darr gaya,
Ki tujhse hi darne laga tha me,
Uss dar ki yaad me din yuhi guzar jata hai,
Dil tujhse na mil sake, toh teri parchai se milna chahta hai.
Aaj duniya diwaani hai,
Mujhse milne ke liye,
Kyun, yeh toh me nahi janta
Par mujhe diwaangi hai,
Tujhse milne ke liye
Kyun, yeh toh me nahi janta.
Uss pagli ka pagal hu me,
Uss Heer ka Ranjha hun me,
Uss Diwangi ki yaad me din yuhi Guzar jata hai,
Dil tujhse na mil sake, toh teri parchai se milna chahta hai.
Kabhi nahi samjha tune,
Kabhi nahi jaana tune,
Kitna jalta hun me,
Jab tere saath koi hota hai,
Jab tujhse koi kuch bolta hai,
Kitna sadta hun me,
Tere liye un sabko bhaga diya mene,
Unn sabki tasveeron ko jala diya mene,
Teri bewafiyon me, din yuhi guzar jata hai,
Dil tujhse na mil sake, toh teri ruh se milna chahta hai.
Na jaane me kyun darta tha,
Na jaane me kyun jalta hun,
Jab tu meri kabhi thi hi nahi,
Toh me kyun yeh sochta tha,
Toh me kyun yeh sochta hun,
Tu meri kabhi hogi hi nahi,
Wapis aaegi tu, me yeh janta hun,
Mere saath rahegi tu, me janta hun
Tab tak
Hamari tesveeron me, teri muskurahat me sama jata hun me,
Aur har pal, bas yehi magta hun me,
Teri yaadon me, din bas yuhi guzar jae,
Tu nahi, toh teri parchai mil jae.
If you liked this post then,
If you liked this post then,
Like and share